The reality of Bloody Mary

"Bloody Mary , Bloody Mary , Bloody Mary" ye nam tin bar leke suru karte hain aj ka blog. Hamara aj ka topic hain Bloody Mary and her reality Bloody Mary ek Urban legend hain jiska zikr bhalehi kisi jagah pe us tarah kia na gaya ho. Phir bhi ye apne kahanio ke adhar par mashur hain. aj main ap logo ko bataunga ki kya Bloody Mary sach main exist karti hain ya nahi, Kya hain kon hain ye? Agar internet ke har panne ko para jae to ap logo go iski lagbhag 100 se zyada kahania mil jaegi sabki alag story koi kisi se related nahi. Ab sawal uthta hain ki ye asal main hain kya? Bloody mary ek ritual hain folklore ki jaha agar koi aurat apne apko rat ke 3 ya kisi nirdharit samay par dim light yani candle light main mirror main dekh kar Bloddy Mary word ko 3 bar bole to unko unki hone wale husband ka chahera nazar ayega par kabhi kabhi ek skull bhi dikh jata hain jo darsata hain ki wo aurat apne shadi se pahele mar jaegi. Ab agar aj ki bat ki jae to iski kahani kuch i...